Sunday, 15 March 2015

Baby-2015

 

 

Main Tujhse Pyaar Nahin Karti (Female)

Main tujh se pyaar nahi karti
Par koi aisi sham nahin
Jab main apni tanhai mein
Tera intezar nahin karti
Main tujhse pyaar nahin karti
Main tujhse pyaar nahin karti
Par sehar mein jis din tu na ho
Ye sehar paraya lagta hai
Har phool lage begana saa
Har sazar paraya lagta hai
Main tujhse pyaar..
Wo almari kapdo waali lawarish ho jati hai
Yeh pehnu ya woh pehnu
Yeh uljhan bhi kho jati hai
Mujhe ye bhi yaad nahi aata
Rang mujhko konse pyare hain
Mere shauk, pasand meri
Bin tere sab banjare hain
Main tujhse pyaar nahin karti
Main tujhse pyaar nahin karti
Main tujhse pyaar nahin karti
Main tujhse pyaar nahin karti
Par aisa koi din hai kya?
Jab yaad tuje teri baaton ko
Sau-sau baar nahi karti
Sau-sau baar nahi karti.

_____________________________________

Main Tujhse Pyaar Nahin Karta 

Main tujhse pyar nahi karta
Main tujhse pyar nahi karta
Par koi aisi sham nahin
Jab main apni tanhai mein
Tera intezar nahin karta
Main tujhse pyaar nahin karta
Dil se ye kehta rehta hoon
Par teri saanson mein chhup ke
Main saansein leta rehta hoon
Is se inkaar nahin karta
Main tujhse pyaar nahin karta
Mujhe kuch bhi yaad nahi rehta
Kab din dooba, kab raat hui
Abhi kal ki baat hai
Pehron tak meri deewaaron se baat hui
Jo hosh zaraa sa baaqi hai
Lagta hai khone waala hoon
Afwaah udi hai yaaron mein
Main paagal hone waala hoon
Main tujhse pyaar nahin karta
Main tujhse pyaar nahi karta
Main tujhse pyaar nahi karta
Par aisa koi din hai kya?
Jab yaad tuje teri baaton ko
Sau-sau baar nahi karta
Sau-sau baar nahi karta.

 _____________________________

Beparwah

Thartharaate hain lamhe, waqt rukh badalta hai
Door saahilon par, kahin din ye dhalta hai
Thartharaate hain lamhe, waqt rukh badalta hai
Door saahilon par, kahin din ye dhalta hai
Qatra qatra sannata moum sa pighalta hai
Khelne waala koi nahi khel phir bhi chalta hai
Sau chehre aayein jaayein
Yaadon mein wahin reh jaayein
Beparwah, beparwah ho jaayein jo..
Beparwah, beparwah ho jaayein jo..
Beparwah, beparwah ho jaayein jo..
Beparwah, beparwah ho jaayein jo..
Aankhon pe bharosa na kar
Dhokha hai har ek manzar
Milte hain jo gale khulke
Wohi waar karein chhup kar
Aankhon pe bharosa na kar
Dhokha hai har ek manzar
Milte hain jo gale khulke
Wohi waar karein chhup kar
Shor mein hai sargoshi
Hosh mein hai behoshi
Honth sab ke sil jaayenge
Bolegi jab khamoshi
Sau chehre aayein jaayein
Yaadon mein wahin reh jaayein
Beparwah, beparwah ho jaayein jo..
Beparwah, beparwah ho jaayein jo..
Beparwah, beparwah ho jaayein jo..
Beparwah, beparwah ho jaayein jo..
Kuch halka kuch gehra
Raaz hai lab pe thehra
Jaal ke andar jaal hai
Chehre pe hai chehra
Kuch halka kuch gehra
Raaz hai lab pe thehra
Jaal ke andar jaal hai
Chehre pe hai chehra
Hansti aankhon waale sabhi
Meethi baaton waale
Hothon se naa chhoona kabhi
Ye zeher ke pyaale
Sau chehre aayein jaayein
Yaadon mein wahin reh jaayein
Beparwah, beparwah ho jaayein jo..
Beparwah, beparwah ho jaayein jo..
Beparwah, beparwah ho jaayein jo..
Beparwah, beparwah ho jaayein jo.

 

 

 

No comments:

Post a Comment