Hamari Adhuri Kahani Lyrics
Paas aaye..
Dooriyaan phir bhi kam naa hui
Ek adhuri si hamari kahani rahi
Aasmaan ko zameen, ye zaroori nahi
Jaa mile.. jaa mile..
Ishq saccha wahi
Jisko milti nahi manzilein.. manzilein..
Rang thhe, noor tha
Jab kareeb tu tha
Ek jannat sa tha, yeh jahaan
Waqt ki ret pe kuch mere naam sa
Likh ke chhod gaya tu kahaan
Hamari adhuri kahani..
Hamari adhuri kahani.. (x2)
Khushbuon se teri yunhi takra gaye
Chalte chalte dekho na hum kahaan aa gaye
Jannatein agar yahin
Tu dikhe kyon nahin
Chaand suraj sabhi hai yahaan
Intezar tera sadiyon se kar raha
Pyaasi baithi hai kab se yahaan
Humari adhoori kahaani
Humari adhoori kahaani.. (x2)
Pyaas ka ye safar khatam ho jayega
Kuch adhura sa jo tha poora ho jayega
Jhuk gaya aasmaan
Mill gaye do jahaan
Har taraf hai milan ka samaa
Doliya hain saji, khushbuein har kahin
Padhne aaya Khuda khud yahaan..
Hamari adhuri kahani
Hamari adhuri kahani.. (x2)
__________________________________________________________________________________________
Humnava Lyrics
Hey Humnava mujhe apna bana le
Sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de
hmm.. hoon akela, zara haath badha de
Sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de
Kab se main dar dar phir raha
Musaafir dil ko panaah de
Tu awaargi ko meri aaj thehra de
Ho sake toh thoda pyaar jataa de
Sookhi padi iss dil ki zameen ko bhiga de
Murjhaayi si shaakh pe dil ki
Phool khilte hain kyun
Baat gulon ki zikr mehak ka
Acha lagta hai kyun
Un rango se tune milaaya
Jinse kabhi main mill na paaya
Dil karta hai tera shukriya
Phir se bahaare tu laa de
Dil ka soona banjar mehka de
Sukhi padi dil ki is zameen ko bhiga de
hmm.. hoon akela, zara haath badha de
Sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de
Waise toh mausam guzre hain
Zindagi mein kayi
Par ab naa jaane kyun mujhe wo
Lag rahe hain haseen
Tere aane par jaana maine
Kahin na kahin zinda hoon main
Jeene lagaa hoon main ab ye fizaayein
Chehre ko chhooti hawaayein
Inki tarah do kadam toh badha le
Sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de
O.. hoon akela, zara haath badha de
Sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de
___________________________________________________________________________________________
Hasi (Male) Lyrics
Haan aa...
Haan hasi ban gaye
Haan nami ban gaye
Tum mere aasmaan
Meri zameen ban gaye (x2)
Haan hum badalne lage
Girne sambhalne lage
Jab se hai jaana tumhein
Teri ore chalne lage (x2)
Har safar har jagah
Har kahin ban gaye
Maante thhe Khuda
Aur haan wahi ban gaye
Haan hansi ban gaye
Haan nami ban gaye
Tum mere aasmaan
Meri zameen ban gaye (x2)
Pehchaante hi nahi ab log tanha mujhe
Meri nigaahon mein bhi hai dhoondte wo tujhe
Pehchaante hi nahi ab log tanha mujhe
Meri nigaahon mein bhi hai dhoondte wo tujhe
Hum the dhoondhte jisey wo kami ban gaye
Tum mere ishq ki sar-zameen ban gaye
Haan hasi ban gaye
Haan nami ban gaye
Tum mere aasmaan
Meri zameen ban gaye (x2)
O.. aa...
________________________________________________________________________________________
Ye Kaisi Jagah Lyrics
Ye kaisi jagah le aaye ho tum
Ye kaisi nayi dil gaaye hai dhun
Main Meera si deewani ho gayi
Iss duniya se begaani ho gayi
Mere honthon pe jo bhatke
Kayi janmon ki pyaas hai
Mere amrit ka wo pyala bas tere paas hai
Ye kaisi jagah le aaye ho tum
Ye kaisi nayi dil gaaye hai dhunn
Raat meri aankhon aankhon me kat gayi
Roshni mein teri subah si ho gayi
Raat mere aankhon aankhon me kat gayi
Roshni mein teri subah si ho gayi
Chehra hoo main, mera roop ho tum
Ye kaisi jagah le aaye ho tum
Aaj uss Khuda se mujhe kuch na chahiye
Sirf tere aage sar jhukna chahiye
Aaj uss Khuda se mujhe kuch na chahiye
Sirf tere aage sar jhukna chahiye
Meri har duaa mein ho tum hi tum
Ye kaisi jagah le aaye ho tum
__________________________________________________________________________________________
Hasi (Female) Lyrics
Haan aa o...
Main jaan ye vaar doon
Har jeet bhi haar doon
Keemat ho koi tujhe beinteha pyaar doon (x2)
Saari hadein maine meri, ab maine tod di
Dekar mujhe pataa awaargi ban gaye
Haan hasi ban gaye
Haan nami ban gaye
Tum mere aasmaan
Meri zameen ban gaye
Aa o... aa...
Kya khoob Rab ne kiya
Bin maange itna diya
Warna hai milta kahaan
Hum kaafiron ko Khuda (x2)
Hasratein ab meri tumse hai jaa mili
Tum duaa ab meri aakhiri ban gaye
Haan hasi ban gaye
Haan nami ban gaye
Tum mere aasmaan
Meri zameen ban gaye
O...
aa... o...
No comments:
Post a Comment